Posts

Showing posts from January, 2012

Intezar

Kehte hai Waqt k saath sab kuch badal jata hai, Gehre zakham bhar jate hai, Duson ki bhool mafi k kabil ban jaati hai, Naye pyar ki umeed bhi aakhir mein jag jaati hai. Phir kyun aaj bhi uski yaad mein aankhe nam ho jaati hai, Aansu nahi hai, par aankhe geeli ho jaati hai, Zakham bhar jaate hai, par nishan chod dete hai, Maaf toh kar dete hai, bar bharosa nahi kar pate hai, Pyar se hi aab toh dar lagta hai, umeed jagne se phele hi bhuj jaati hai. Dost kehte hai,'Itna pathar dil nah ban'. 'Galti aakhir insaan se hi hoti hai'. Tu umeed nah chod, Dard mein bhi muskurate raha kar; 'Ek muskan se toh gair bhi dost ban jaate hai' Kya pata, dard mein muskurate hue, naye pyar se hi ek mulakat ho jaye. Par maine kaha,'Mai pathar dil nahi bani hoon, Bas thak chuki hoon, iss dard ko sehte. Dusron ko kushi dete hue, apne kushi bhool chuki hoon.' Lekin aab bas intezar hai uska jo iss pathar dil ki majboori ko samjhe, jo iss hasi ki peeche ki nami ko pehchan le, jo muj